Jaise ik chaand ka tukaraa ... bhaee kiskaa hai ... haan haan iskaa hai

जैसे इक चाँद क टुकड़ा ... भई किसका है ... हाँ हाँ इसका है
Work
Year
Language

जैसे इक चाँद का टुकड़ा इस गली में ऐसा मुखड़ा
भई किसका है इसका है हाँ हाँ इसका है

आँखों का रंग गुलाबी इस गली में चाल शराबी
भई किसकी है इसकी है हाँ हाँ इसकी है

दिन छोटे लम्बी रातें अब गली गली में बातें
भई किनकी हैं इनकी हैं हाँ हाँ इनकी हैं

हो चैन चुरा ले चाहे नींद उड़ा ले चाहे
सच कहते हैं लोग ये दिल का रोग लगा देता है
ऐसा ये प्यार निगोड़ा अब हाल ये थोड़ा थोड़ा
भई किनका हैं इनका हैं हाँ हाँ इनका हैं

दिल फ़िदा करते हैं जो फ़िदा करते हैं
थोड़े से हैं यार जो करके प्यार वफ़ा करते हैं
झूठी है ये दुनिया सारी दुनिया में सच्ची यारी
भई किनकी हैं इनकी हैं हाँ हाँ इनकी हैं

लोगों का है रेला बस्ती में है मेला
इस मेले में एक मेरे बिन हो कोई नहीं अकेला
देखो ये अकल कहां की हाज़िर हम सारे साथी
भई किसके हैं इसके हैं हाँ हाँ इसके हैं

jaise ik chāṇd kā ṭukaṛā is galī meṅ aisā mukhaṛā
bhaī kiskā hai iskā hai hāṇ hāṇ iskā hai

āṇkhoṅ kā raṅg gulābī is galī meṅ chāl śharābī
bhaī kiskī hai iskī hai hāṇ hāṇ iskī hai

din chhoṭe lambī rāteṅ ab galī galī meṅ bāteṅ
bhaī kinkī haiṅ inkī haiṅ hāṇ hāṇ inkī haiṅ

ho chain churā le chāhe nīṅd uṛā le chāhe
sach kahte haiṅ log ye dil kā rog lagā detā hai
aisā ye pyār nigoṛā ab hāl ye thoṛā thoṛā
bhaī kinkā haiṅ inkā haiṅ hāṇ hāṇ inkā haiṅ

dil fidā karte haiṅ jo fidā karte haiṅ
thoṛe se haiṅ yār jo karke pyār vafā karte haiṅ
jhūṭhī hai ye duniyā sārī duniyā meṅ sachchī yārī
bhaī kinkī haiṅ inkī haiṅ hāṇ hāṇ inkī haiṅ

logoṅ kā hai relā bastī meṅ hai melā
is mele meṅ ek mere bin ho koī nahīṅ akelā
dekho ye akal kahāṅ kī hāzir ham sāre sāthī
bhaī kiske haiṅ iske haiṅ hāṇ hāṇ iske haiṅ