Jab tak hai jaan, jaan-e-jahaan

जब तक है जां, जान-ए-जहाँ
Work
Year
Language

जब तक है जां, जान-ए-जहाँ,
मैं नाचूँगी

प्यार कभी भी मरता नहीं
मौत से भी ये डरता नहीं
लुट जाएंगे मिट जाएंगे मर जाएंगे हम
ज़िन्दा रहेगी हमारी दास्तां
ओ हां, जब तक है जां …

टूट जाए पायल तो क्‌या
पाँव हो जाएं घायल तो क्‌या
दिल दिया है दिल लिया है प्यार किया है तो
देना पड़ेगा मुहब्बत का इम्तहां
ओ हां, जब तक है जां …

ये नज़र झुक सकती नहीं
ये ज़ुबां रुक सकती नहीं
मैं कहूँगी ग़म सहूँगी चुप रहूँगी क्‌या
बेबस हूँ लेकिन नहीं मैं बेज़ुबां
ओ हां, जब तक है जां …

jab tak hai jāṅ, jān-e-jahāṇ,
maiṅ nāchūṇgī

pyār kabhī bhī martā nahīṅ
maut se bhī ye ḍartā nahīṅ
luṭ jāeṅge miṭ jāeṅge mar jāeṅge ham
zindā rahegī hamārī dāstāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …

ṭūṭ jāe pāyal to k‌yā
pāṇv ho jāeṅ ghāyal to k‌yā
dil diyā hai dil liyā hai pyār kiyā hai to
denā paṛegā muhabbat kā imthāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …

ye nazar jhuk saktī nahīṅ
ye zubāṅ ruk saktī nahīṅ
maiṅ kahūṇgī ġham sahūṇgī chup rahūṇgī k‌yā
bebas hūṇ lekin nahīṅ maiṅ bezubāṅ
o hāṅ, jab tak hai jāṅ …