Jab se tum aae nazar men ... pyaar hamko hone lagaa

जब से तुम आए नज़र में ... प्यार हमको होने लगा
Year
Language

हूं जब से तुम आए नज़र में खोया खोया रहता है दिल
धड़कनों से आज ये क्‌या चुपके चुपके कहता है दिल
प्यार हमको होने लगा खोना था दिल खोने लगा

लब जो कहने लगे हैं उन बातों में उलझा है दिल

क्‌या हकीकत है अपनी क्‌या तुम्हें बताएंगे
कौन हैं हम आखिर ये कब तलक छुपाएंगे

तुम छुपाओ लाख हमसे फिर भी सब कुछ हमने जाना
हर ज़ुबां पे आएगा कल हम दोनों का ये अफ़साना
प्यार हमको होने लगा …

hūṅ jab se tum āe nazar meṅ khoyā khoyā rahtā hai dil
dhaṛaknoṅ se āj ye k‌yā chupke chupke kahtā hai dil
pyār hamko hone lagā khonā thā dil khone lagā

lab jo kahne lage haiṅ un bātoṅ meṅ uljhā hai dil

k‌yā hakīkat hai apnī k‌yā tumheṅ batāeṅge
kaun haiṅ ham ākhir ye kab talak chhupāeṅge

tum chhupāo lākh hamse phir bhī sab kuchh hamne jānā
har zubāṅ pe āegā kal ham donoṅ kā ye afsānā
pyār hamko hone lagā …