ek thā gul aur ek thī bulbul - 2
dono chaman meṅ rahte the
hai ye kahānī bilkul sachchī
mere nānā kahte the
ek thā gul aur …
bulbul kuchh aise gātī thī
jaise tum bāteṅ kartī ho
vo gul aise śharmātā thā
jaise maiṅ ghabrā jātā hūṇ
bulbul ko mālūm nahī thā
gul aise kyoṅ śharmātā thā
vo kyā jāne uskā nagmā
gul ke dil ko dhaṛkātā thā
dil ke bhed nā āte lab pe
ye dil meṅ hī rahte the
ek thā gul aur …
lekin ākhir dil kī bāteṅ
aise kitne din chhuptī haiṅ
ye vo kaliyāṅ hai jo ik din
bas kāṇṭe banke chubhtī haiṅ
ik din jān liyā bulbul ne
vo gul uskā dīvānā hai
tumko pasand āyā ho to bolūṅ
phir āge jo afsānā hai
ik dūje kā ho jāne par
vo dono majbūr hue
un dono ke pyār ke kisse
gulaśhan meṅ maśhhūr hue
sāth jiyeṅge sāth mareṅge
vo dono ye kahte the
ek thā gul aur …
phir ik din kī bāt sunāūṅ
ik sayyād chaman meṅ āyā
le gaye vo bulbul ko pakaṛke
aur dīvānā gul murjhāyā - 2
śhāyar log bayāṅ karte haiṅ
aise unkī judāī kī bāteṅ
gāte the ye gīt vo dono
saiyāṅ binā nahī kaṭtī rāteṅ - 2
mast bahāroṅ kā mausam thā
āṇkh se āṅsū bahte the
ek thā gul aur …
ātī thī āvāz hameśhā
ye jhilmil jhilmil tāroṅ se
jiskā nām muhabbat hai vo
kab ruktī hai dīvāroṅ se
ik din āh gul-o-bulbul kī
us piṅjre se jā ṭakrāī
ṭūṭā piṅjrā chhūṭā kaidī
detā rahā sayyād duhāī
rok sake nā usko milke
sārā zamān sārī khudāī
gul sājan ko gīt sunāne
bulbul bāg meṅ vāpas āe
yād sadā rakhnā ye kahānī
chāhe jīnā chāhe marnā
tum bhī kisī se pyār karo to
pyār gul-o-bulbul sā karnā - 4