Jab jab duniyaa tarpaaegee, mohabbat barhtee jaaegee

जब जब दुनिया तड़पाएगी, मोहब्बत बढ़ती जाएगी
Work
Year
Language

हो … जब जब प्यार पे पहरा हुआ है
प्यार और भी गहरा (4) हुआ है
दो प्यार करने वलों को
हो हो हो (and a bottle of rum)
जब जब दुनिया तड़पाएगी
मोहब्बत बढ़ती जाएगी
हो कुछ भी करले दुनिया
ये न मिट पाएगी
मोहब्बत बढ़ती जाएगी

बादल को बरसने से, बिजली को चमकने से
कोई भी रोक ना पाएगा (2)
फूलों को महकने से, बुलबुल को चहकने से
कोई भी रोक ना पाएगा (2)
जब जब उल्फ़त की राहों में
दुनिया दीवार उठाएगी
मोहब्बत बढ़ती जाएगी (2)

इस दिल की यादों को, महबूब के वादों को
कोई क्‌या बांधे ज़ंजीरों से (2)
चाहत के खज़ानो को, नज़रों के फ़सानो को
कोई पा ना सके जागीरों से
जब जब दुनिया दिलवालों को
दीवारों मे चुनवाएगी
मोहब्बत बढ़ती जाएगी (2)

ho … jab jab pyār pe pahrā huā hai
pyār aur bhī gahrā (4) huā hai
do pyār karne valoṅ ko
ho ho ho (and a bottle of rum)
jab jab duniyā taṛpāegī
mohabbat baṛhtī jāegī
ho kuchh bhī karle duniyā
ye na miṭ pāegī
mohabbat baṛhtī jāegī

bādal ko barasne se, bijlī ko chamakne se
koī bhī rok nā pāegā (2)
phūloṅ ko mahakne se, bulbul ko chahakne se
koī bhī rok nā pāegā (2)
jab jab ulfat kī rāhoṅ meṅ
duniyā dīvār uṭhāegī
mohabbat baṛhtī jāegī (2)

is dil kī yādoṅ ko, mahbūb ke vādoṅ ko
koī k‌yā bāṅdhe zaṅjīroṅ se (2)
chāhat ke khazāno ko, nazroṅ ke fasāno ko
koī pā nā sake jāgīroṅ se
jab jab duniyā dilvāloṅ ko
dīvāroṅ me chunvāegī
mohabbat baṛhtī jāegī (2)