जब-जब अपना मेल हुआ तो दिल ये पुकारा
जब-जब अपना मेल हुआ तो दिल ये पुकारा
जनम-जनम तक टूट सके ना कभी साथ हमारा
जब-जब अपना मेल …
तेरे ग़म को गले लगा के हो अपनी ख़ुशियाँ मैं तुझपे लुटा दूँ
गर थोड़ा सा तू मुस्करा दे हो तो वीराने में कलियाँ खिला दूँ
हो शरमाता है कलियों को भी ये बैरी रूप तुम्हारा
जब-जब अपना मेल …
छेड़ के अपने प्यार का नग़मा हो तेरे दिल में तराने जगा दूँ
तेरी आँख के आँसू ले के हो नए चाँद-सितारे बना दूँ
हो नील गगन पर दीप जले हैं ज़रा देखो नज़ारा
जब-जब अपना मेल …
लाख जनम के अरमानों का हो कोई रंगीं फ़साना बना दूँ
लेकर आग तेरे गालों की हो गोरे-गोरे कँवल मैं खिला दूँ
हो दिल कहता है आज मिलेगा नदिया से किनारा
जब-जब अपना मेल …
jab-jab apnā mel huā to dil ye pukārā
janam-janam tak ṭūṭ sake nā kabhī sāth hamārā
jab-jab apnā mel …
tere ġham ko gale lagā ke ho apnī khuśhiyāṇ maiṅ tujhpe luṭā dūṇ
gar thoṛā sā tū muskrā de ho to vīrāne meṅ kaliyāṇ khilā dūṇ
ho śharmātā hai kaliyoṅ ko bhī ye bairī rūp tumhārā
jab-jab apnā mel …
chheṛ ke apne pyār kā naġhmā ho tere dil meṅ tarāne jagā dūṇ
terī āṇkh ke āṇsū le ke ho nae chāṇd-sitāre banā dūṇ
ho nīl gagan par dīp jale haiṅ zarā dekho nazārā
jab-jab apnā mel …
lākh janam ke armānoṅ kā ho koī raṅgīṅ fasānā banā dūṇ
lekar āg tere gāloṅ kī ho gore-gore kṇval maiṅ khilā dūṇ
ho dil kahtā hai āj milegā nadiyā se kinārā
jab-jab apnā mel …