Jab ishq daa gunjal par jaae

जब इश्क़ दा गुंजल पड़ जाए
Work
Year
Language

अरे तुम तो शायरा हो गईं
हः हः तुम्हारी संगत का असर है
वैसे क़ायल तो हैं ही हम तुम्हारी शायरी के
अच्छा
तुमने आजतक बताया नहीं तुम करते क्‌या हो
चोरी
फिर मज़ाक
बिलकुल नहीं
हः हः क्‌या चुराते हो? दिल?
बाज़ारों में बिकते तो दिल भी चुरा लेता

ओ जब इश्क़ दा गुंजल पड़ जाए हाय
कोई तीर जिगर में गड़ जाए
न न न
कोई लाख बचाए अक्‌ख अपनी ओ
हो कोई लाख बचाए अक्‌ख अपनी
ये लड़ जाए तो लड़ जाए
ओय जब इश्क़ दा गुंजल …

चाहें सच बोले या झूठ कहे
हर बात में हामी भरती हूँ
ना यार ख़फ़ा हो जाए कहीं
इसलिए गुलामी करती हूँ
जब इश्क़ दा इश्क़ दा इश्क़ दा हाँ जी
जब इश्क़ दा गुंजल …

हो हा सजना के एक इशारे पे
घर बार लुटाना पड़ता है
जो रूप सजन को भा जाए
वो रूप बनाना पड़ता है
जब इश्क़ दा गुंजल …

मेरा माही मेरा सपना
हो मेरा माही मेरा सपना
जो सामने है जो दिखता है
माही उसको ना देखे
बेगाना है जो मिलता नहीं
ज़ुल्मी क्‌यूं उसको ढूँढे
ये पागल है दीवाना है
कैसे इसको समझाऊं
न न न ये इश्क़ नशा ये इश्क़ जुनूं
ये बात न सबके बस की
ये हो जाए तो हो जाए
ये बात सुने कब किसकी
ये नहीं होता तो हाँ जी हाँ
नहीं होता तो नहीं होता
नहीं होता तो नहीं होता
ये नईं हुंदा ते नईं हुंदा ते नईं हुंदा
जब इश्क़ दा गुंजल …

are tum to śhāyrā ho gaīṅ
hḥa hḥa tumhārī saṅgat kā asar hai
vaise qāyal to haiṅ hī ham tumhārī śhāyrī ke
achchhā
tumne ājatak batāyā nahīṅ tum karte k‌yā ho
chorī
phir mazāk
bilkul nahīṅ
hḥa hḥa k‌yā churāte ho? dil?
bāzāroṅ meṅ bikte to dil bhī churā letā

o jab iśhq dā guṅjal paṛ jāe hāy
koī tīr jigar meṅ gaṛ jāe
na na na
koī lākh bachāe ak‌kha apnī o
ho koī lākh bachāe ak‌kha apnī
ye laṛ jāe to laṛ jāe
oy jab iśhq dā guṅjal …

chāheṅ sach bole yā jhūṭh kahe
har bāt meṅ hāmī bhartī hūṇ
nā yār khafā ho jāe kahīṅ
islie gulāmī kartī hūṇ
jab iśhq dā iśhq dā iśhq dā hāṇ jī
jab iśhq dā guṅjal …

ho hā sajnā ke ek iśhāre pe
ghar bār luṭānā paṛtā hai
jo rūp sajan ko bhā jāe
vo rūp banānā paṛtā hai
jab iśhq dā guṅjal …

merā māhī merā sapnā
ho merā māhī merā sapnā
jo sāmne hai jo dikhtā hai
māhī usko nā dekhe
begānā hai jo miltā nahīṅ
zulmī k‌yūṅ usko ḍhūṇḍhe
ye pāgal hai dīvānā hai
kaise isko samjhāūṅ
na na na ye iśhq naśhā ye iśhq junūṅ
ye bāt na sabke bas kī
ye ho jāe to ho jāe
ye bāt sune kab kiskī
ye nahīṅ hotā to hāṇ jī hāṇ
nahīṅ hotā to nahīṅ hotā
nahīṅ hotā to nahīṅ hotā
ye naīṅ huṅdā te naīṅ huṅdā te naīṅ huṅdā
jab iśhq dā guṅjal …