Jab deep jale aanaa, jab shaam dhale aanaa

जब दीप जले आना, जब शाम ढले आना
Work
Year
Language

जब दीप जले आना, जब शाम ढले आना
सन्देस मिलन का भूल न जाना मेरा प्यार ना बिसराना
जब दीप जले आना …

नित सांझ सवेरे मिलते हैं
उन्हें देखके तारे खिलते हैं
लेते हैं विदा एक दूजे से कहते हैं चले आना
जब दीप जले आना …

नी रे ग, रे ग, म ग रे स स नी
प प म, रे ग, स नी स ग प म प

मैं पलकन डगर बुहारूंगा
तेरी राह निहारूंगा
मेरी प्रीत का काजल तुम अपने नैनों में मले आना
जब दीप जले आना …

जहां पहली बार मिले थे हम
जिस जगह से संग चले थे हम
नदिया के किनारे आज उसी
अमवा के तले आना
जब दीप जले आना …

jab dīp jale ānā, jab śhām ḍhale ānā
sandes milan kā bhūl na jānā merā pyār nā bisrānā
jab dīp jale ānā …

nit sāṅjh savere milte haiṅ
unheṅ dekhke tāre khilte haiṅ
lete haiṅ vidā ek dūje se kahte haiṅ chale ānā
jab dīp jale ānā …

nī re ga, re ga, ma ga re sa sa nī
pa pa ma, re ga, sa nī sa ga pa ma pa

maiṅ palkan ḍagar buhārūṅgā
terī rāh nihārūṅgā
merī prīt kā kājal tum apne nainoṅ meṅ male ānā
jab dīp jale ānā …

jahāṅ pahlī bār mile the ham
jis jagah se saṅg chale the ham
nadiyā ke kināre āj usī
amvā ke tale ānā
jab dīp jale ānā …