Jaate ho pardes piyaa jaate hee khat likhnaa

जाते हो परदेस पिया जाते ही खत लिखना
Year
Language

जाते हो परदेस पिया जाते ही खत लिखना
देखो तुम भी खत मेरा पाते ही खत लिखना
जाते हो परदेस पिया …

लिखना कैसे सफ़र कटा था कैसे गुज़रे वो पल छिन
क्‌या महसूस किया था तुमने सांझ ढली जब मेरे बिन
कब कब याद हमारी आई कैसे तुमने रात बिताई
जाते हो परदेस पिया …

अपनी जुदाई के इस पल से पहले खत के आने तक
पल पल की तुम बातें लिखना पूरा खत भर जाने तक
गुमसुम गुमसुम खोई खोई तुम छुपकर कितना रोईं
जाते हो परदेस पिया …

देख नहीं पायेंगे तुमको ओझल होते ये नयना
लो मैं पलकें मूंद रही हूँ तुम चल दो मेरे सजना
ये तो है इक तरफ़ा विदाई इसमें प्यार की है रुसवाई
जाते हो परदेस पिया …

jāte ho pardes piyā jāte hī khat likhnā
dekho tum bhī khat merā pāte hī khat likhnā
jāte ho pardes piyā …

likhnā kaise safar kaṭā thā kaise guzre vo pal chhin
k‌yā mahsūs kiyā thā tumne sāṅjh ḍhalī jab mere bin
kab kab yād hamārī āī kaise tumne rāt bitāī
jāte ho pardes piyā …

apnī judāī ke is pal se pahle khat ke āne tak
pal pal kī tum bāteṅ likhnā pūrā khat bhar jāne tak
gumsum gumsum khoī khoī tum chhupkar kitnā roīṅ
jāte ho pardes piyā …

dekh nahīṅ pāyeṅge tumko ojhal hote ye naynā
lo maiṅ palkeṅ mūṅd rahī hūṇ tum chal do mere sajnā
ye to hai ik tarafā vidāī ismeṅ pyār kī hai rusvāī
jāte ho pardes piyā …