Jaate ho to jaao par jaaoge kahaan

जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
Work
Year
Language

( जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
बाबू जी तुम ऐसा दिल पाओगे कहाँ ) -2

( आये हैं दूर से
मिलने हज़ूर से
हमको सज़ा न दो जी
दिल के क़सूर से ) -2
आधी है रात अभी
बाकी है बात अभी
छोड़ो न साथ अभी
बाबू जी जाते हो कहाँ

जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
बाबू जी तुम ऐसा दिल पाओगे कहाँ

( दिल तुम पे वार के
दुनिया को हार के
बैठे हैं देर से जी
रस्ते में प्यार के ) -2
थोड़ी सी चाह दे दो
सीने में राह दे दो
दिल को पनाह दे दो
बाबू जी जाते हो कहाँ

जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
बाबू जी तुम ऐसा दिल पाओगे कहाँ

( मिलने की आस है
जलवों की प्यास है
सब है तुम्हारे लिये
जो दिल के पास है ) -2
यूँ न निहाल करो
दिल न बेहाल करो
कुछ तो ख़याल करो
बाबू जी जाते हो कहाँ

जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
बाबू जी तुम ऐसा दिल पाओगे कहाँ
हाँ
जाते हो तो जाओ पर जाओगे कहाँ
बाबू जी तुम ऐसा दिल पाओगे कहाँ

( jāte ho to jāo par jāoge kahāṇ
bābū jī tum aisā dil pāoge kahāṇ ) -2

( āye haiṅ dūr se
milne hazūr se
hamko sazā na do jī
dil ke qasūr se ) -2
ādhī hai rāt abhī
bākī hai bāt abhī
chhoṛo na sāth abhī
bābū jī jāte ho kahāṇ

jāte ho to jāo par jāoge kahāṇ
bābū jī tum aisā dil pāoge kahāṇ

( dil tum pe vār ke
duniyā ko hār ke
baiṭhe haiṅ der se jī
raste meṅ pyār ke ) -2
thoṛī sī chāh de do
sīne meṅ rāh de do
dil ko panāh de do
bābū jī jāte ho kahāṇ

jāte ho to jāo par jāoge kahāṇ
bābū jī tum aisā dil pāoge kahāṇ

( milne kī ās hai
jalvoṅ kī pyās hai
sab hai tumhāre liye
jo dil ke pās hai ) -2
yūṇ na nihāl karo
dil na behāl karo
kuchh to khayāl karo
bābū jī jāte ho kahāṇ

jāte ho to jāo par jāoge kahāṇ
bābū jī tum aisā dil pāoge kahāṇ
hāṇ
jāte ho to jāo par jāoge kahāṇ
bābū jī tum aisā dil pāoge kahāṇ