Jaataa hai too kahaan re baabaa sun pyaare

जाता है तू कहां रे बाबा सुन प्यारे
Work
Year
Language

जाता है तू कहां रे बाबा सुन प्यारे रुक जा रे
दुनिया के बड़े टेढ़े ये रास्ते
खतरे ही खतरे हैं तेरे वास्ते
जाता है तू कहां …

आजकल ऐसी भी लूट है
कहने को प्यार है समझो तो झूठ है
देख तू लुटने लगा
तेरा इश्तहार किसके हाथों में
जाता है तू कहां …

प्यार का जो करते हैं शोर ध्यान है तेरा जिनकी ओर
आ मैं बताऊं कौन है वो रात में डाकू दिन में चोर
जाता है तू कहां …

हाथ जोड़ूं तेरे पड़ूं तेरे पइयां
छोड़ के न जा मुझे छोड़ के मेरी बइयां
सुन ले मेरी अर्ज ओ सजन जाने वाले ये तो बता
जाता है तू कहां …

बिकते हैं ईमान यहां बाज़ारों में
अंजाने तू न जाने कोई जाल फैला तेरी राहों में
कोई बात है तेरी बातों में ये जान ले मेरी बातों में
फ़ैसला तुझको आज करना है डूब जाना है या उभरना है
इस तरफ़ झूठ है दिखावा है
उस तरफ़ लालची निगाहें है
इस तरफ़ मेरे दिल की राहें हैं
जाता है तू कहां …

jātā hai tū kahāṅ re bābā sun pyāre ruk jā re
duniyā ke baṛe ṭeṛhe ye rāste
khatre hī khatre haiṅ tere vāste
jātā hai tū kahāṅ …

ājkal aisī bhī lūṭ hai
kahne ko pyār hai samjho to jhūṭh hai
dekh tū luṭne lagā
terā iśhthār kiske hāthoṅ meṅ
jātā hai tū kahāṅ …

pyār kā jo karte haiṅ śhor dhyān hai terā jinkī or
ā maiṅ batāūṅ kaun hai vo rāt meṅ ḍākū din meṅ chor
jātā hai tū kahāṅ …

hāth joṛūṅ tere paṛūṅ tere paiyāṅ
chhoṛ ke na jā mujhe chhoṛ ke merī baiyāṅ
sun le merī arj o sajan jāne vāle ye to batā
jātā hai tū kahāṅ …

bikte haiṅ īmān yahāṅ bāzāroṅ meṅ
aṅjāne tū na jāne koī jāl phailā terī rāhoṅ meṅ
koī bāt hai terī bātoṅ meṅ ye jān le merī bātoṅ meṅ
faislā tujhko āj karnā hai ḍūb jānā hai yā ubharnā hai
is taraf jhūṭh hai dikhāvā hai
us taraf lālchī nigāheṅ hai
is taraf mere dil kī rāheṅ haiṅ
jātā hai tū kahāṅ …