chalo re ḍolī uṭhāo kahār
pīyā milan kī rut āī
pī kī nagrī le jāo kahār
pīyā milan kī rut āī
jin nainoṅ kī tū hai jyotī
un nainoṅ se barse motī
dāvā nahīṅ hai koī zor nahīṅ hai
beṭī sadā hī parāī hotī
jaldī naihar se le jāo, kahār
pīyā milan kī rut āī
chhāī hai dekho hariyālī
āī hai rut khuśhiyoṅ vālī
har āśhā parvān (???) chaṛhī
din hai dasahrā rāt dīvālī
gale ḍāl bāhoṅ kā hār, kahār
pīyā milan kī rut āī
tan maike man terī nagriyā
uṛ jāūṇ maiṅ banke badriyā
chāṇd nagar ko chalī chakorī
pyāsī hūṇ milan kī sāṇvriyā
mere sapne sajāo, kahār
pīyā milan kī rut āī
sūnī paṛī bhaiyā kī havelī
vyākul bahnā rah gaī akelī
jin saṅg nāchī jin saṅg khelī
chhūṭ gaī vo sakhī sahelī
ab na derī lagāo, kahār
pīyā milan kī rut āī