Jaane vaale zaraa hoshiyaar yahaan ke ham hain raaj kumaar

जाने वाले ज़रा होशियार यहाँ के हम हैं राज कुमार्
Work
Year
Language

जाने वाले ज़रा होशियार यहाँ के हम हैं राज कुमार
ओय होय
आगे पीछे हमारी सरकार यहाँ के हम हैं राज कुमार
ओय होय
जाने वाले

अमरीकी अंदाज़ भी सीखे
हम योरप्‌्‌ के राज़ भी सीखे
हम से जो बाज़ी ले कर जाये
है कोई ऐसा सामने आये
सारी दुनिया में अपनी जयकार
यहाँ के हम हैं राज कुमार …

हमसे मुहब्बत हमसे जवानी
रंग भरी है अपनी कहानी

दर्द सा अपने दिल में जो पाया
जान गये हम किसने बुलाया
उनसे ही मिलने झूम के निकले
भई, ठाठ से निकले धूम से निकले
उनको भी है हमारा इंतज़ार
यहाँ के हम हैं राज कुमार …

jāne vāle zarā hośhiyār yahāṇ ke ham haiṅ rāj kumār
oy hoy
āge pīchhe hamārī sarkār yahāṇ ke ham haiṅ rāj kumār
oy hoy
jāne vāle

amrīkī aṅdāz bhī sīkhe
ham yorap‌‌ ke rāz bhī sīkhe
ham se jo bāzī le kar jāye
hai koī aisā sāmne āye
sārī duniyā meṅ apnī jaykār
yahāṇ ke ham haiṅ rāj kumār …

hamse muhabbat hamse javānī
raṅg bharī hai apnī kahānī

dard sā apne dil meṅ jo pāyā
jān gaye ham kisne bulāyā
unse hī milne jhūm ke nikle
bhaī, ṭhāṭh se nikle dhūm se nikle
unko bhī hai hamārā iṅtazār
yahāṇ ke ham haiṅ rāj kumār …