Jaane na jaane ... main hoon pujaaree too meree devee

जाने न जाने ... मैं हूँ पुजारी तू मेरी देवी
Work
Year
Language

जाने न जाने तू ही न जाने
मैं हूँ पुजारी तू मेरी देवी
माने न माने आया मनाने
प्रेम भिखारी तू मेरी देवी

जग को बिसारा करता हूँ पूजा
मेरा सहारा कोई न दूजा
प्राणों से प्यारी तू मेरी देवी
मैं हूँ पुजारी …

सच ही कहा है सच ही कहूँगा
तेरा रहा हूँ तेरा रहूँगा
कन्याकुमारी तू मेरी देवी
मैं हूँ पुजारी …

jāne na jāne tū hī na jāne
maiṅ hūṇ pujārī tū merī devī
māne na māne āyā manāne
prem bhikhārī tū merī devī

jag ko bisārā kartā hūṇ pūjā
merā sahārā koī na dūjā
prāṇoṅ se pyārī tū merī devī
maiṅ hūṇ pujārī …

sach hī kahā hai sach hī kahūṇgā
terā rahā hūṇ terā rahūṇgā
kanyākumārī tū merī devī
maiṅ hūṇ pujārī …