Jaane kyaa baat hai, jaane kyaa baat hai

जाने क्या बात है, जाने क्या बात है
Work
Year
Language

जाने क्या बात है, जाने क्या बात है
नींद नहीं आती बड़ी लंबी रात है

सारी सारी रात मुझे किसने जगाया
जैसे कोई सपना, जैसे कोई साया
कोई नहीं लगता है, कोई मेरे साथ है

धक् धक् अभी से जिया डोल रहा है
घूँघट अभी से मेरा खोल रहा है
दूर अभी तो पिया की मुलाक़ात है

जब जब देखूँ मैं ये चांद सितारें
ऐसा लगता है मुझे लाज के मारे
जैसे कोई डोली, जैसे बारात है

jāne kyā bāt hai, jāne kyā bāt hai
nīṅd nahīṅ ātī baṛī laṅbī rāt hai

sārī sārī rāt mujhe kisne jagāyā
jaise koī sapnā, jaise koī sāyā
koī nahīṅ lagtā hai, koī mere sāth hai

dhak dhak abhī se jiyā ḍol rahā hai
ghūṇghaṭ abhī se merā khol rahā hai
dūr abhī to piyā kī mulāqāt hai

jab jab dekhūṇ maiṅ ye chāṅd sitāreṅ
aisā lagtā hai mujhe lāj ke māre
jaise koī ḍolī, jaise bārāt hai