जाने कैसा है, मेरा दीवाना, कभी अपना सा लगे
आ: जाने कैसा है मेरा दीवाना
कभी अपना सा लगे, कभी बेगाना
कि: बड़ी भोली हो, ये भी न जाना
कभी अपनों को नहीं कहते बेगाना
कि: यूँ भी जीता था मगर कोई अरमान न थे
जब तलक आप मेरे दिल के मेहमान न थे
दिल के मेहमान न थे
तुमसे महका है मेरा वीराना, कभी अपनों को नहीं …
आ: मैं वो आज़ाद घटा तुमने जिसे बाँध लिया
अपनी आँखों में मुझे नया आकाश दिया
नया आकाश दिया
यही छोटा सा मेरा अफ़साना, कभी अपना सा लगे …
कभी छेड़े है पवन कभी छेड़े हैं पिया
कि: यही तो होगा सनम तुमने जब प्यार किया
तुमने जब प्यार किया
मेरे पास आओ छोड़ो शरमाना
कभी अपनों को नहीं …
ā: jāne kaisā hai merā dīvānā
kabhī apnā sā lage, kabhī begānā
ki: baṛī bholī ho, ye bhī na jānā
kabhī apnoṅ ko nahīṅ kahte begānā
ki: yūṇ bhī jītā thā magar koī armān na the
jab talak āp mere dil ke mehmān na the
dil ke mehmān na the
tumse mahkā hai merā vīrānā, kabhī apnoṅ ko nahīṅ …
ā: maiṅ vo āzād ghaṭā tumne jise bāṇdh liyā
apnī āṇkhoṅ meṅ mujhe nayā ākāśh diyā
nayā ākāśh diyā
yahī chhoṭā sā merā afsānā, kabhī apnā sā lage …
kabhī chheṛe hai pavan kabhī chheṛe haiṅ piyā
ki: yahī to hogā sanam tumne jab pyār kiyā
tumne jab pyār kiyā
mere pās āo chhoṛo śharmānā
kabhī apnoṅ ko nahīṅ …