Jaane kaisaa chhaane lagaa nashaa ye pyaar kaa

जाने कैसा छाने लगा नशा ये प्यार का
Work
Year
Language

(जाने कैसा छाने लगा नशा ये प्यार का
थोड़ा थोड़ा आने लगा मज़ा बहार का) -2

दिल जो मिले, गुल से खिले, जान गए हमराज़ नए -2
तुझसे सनम, तेरी कसम, सीख किए अंदाज़ नए
गई दिलको उड़ा, तेरी शोख़ अदा, मेरा बस न चला
जाने कैसा…

दिल थे जवां, रात हसीं ऐसे में तुमसे आँख लड़ी -2
कैसे बुझे दिलके लगी अब तो ये मुश्किल आन पड़ी
ऐसा दर्द मिला, नहीं जिसकी दवा, तेरे प्यार के सिवा
जाने कैसा…

(jāne kaisā chhāne lagā naśhā ye pyār kā
thoṛā thoṛā āne lagā mazā bahār kā) -2

dil jo mile, gul se khile, jān gae hamrāz nae -2
tujhse sanam, terī kasam, sīkh kie aṅdāz nae
gaī dilko uṛā, terī śhokh adā, merā bas na chalā
jāne kaisā…

dil the javāṅ, rāt hasīṅ aise meṅ tumse āṇkh laṛī -2
kaise bujhe dilke lagī ab to ye muśhkil ān paṛī
aisā dard milā, nahīṅ jiskī davā, tere pyār ke sivā
jāne kaisā…