जाने कहाँ मेरा जिगर गया जी
जाने कहाँ मेरा जिगर गया जी
अभी अभी यहीं था किधर गया जी
किसी की अदाओं पे मर गया जी
बड़ी बड़ी अंखियों से डर गया जी
कहीं मारे डर के चूहा तो नहीं हो गया
कोने कोने देखा न जाने कहाँ खो गया
यहाँ उसे लाए काहे को बिना काम रे
जलदी जलदी ढूँढो के होने लगी शाम रे
सच्ची सच्ची कह दो दिखाओ नहीं चाल रे
तूने तो नहीं हैं चुराया मेरा माल रे
ऐसे नहीं चोरी खुलेगी तकरार से
चलो चलो थाने बताएं जमादार से
कोइ उल्फ़त की नज़र ज़रा फेर दे
लेले दो चार आने जिगर मेरा छेड़ दे
बातें हैं नज़र की नज़र से समझाऊंगी
पहले पड़ो पइयां तो फिर बतलाऊंगी
jāne kahāṇ merā jigar gayā jī
abhī abhī yahīṅ thā kidhar gayā jī
kisī kī adāoṅ pe mar gayā jī
baṛī baṛī aṅkhiyoṅ se ḍar gayā jī
kahīṅ māre ḍar ke chūhā to nahīṅ ho gayā
kone kone dekhā na jāne kahāṇ kho gayā
yahāṇ use lāe kāhe ko binā kām re
jaldī jaldī ḍhūṇḍho ke hone lagī śhām re
sachchī sachchī kah do dikhāo nahīṅ chāl re
tūne to nahīṅ haiṅ churāyā merā māl re
aise nahīṅ chorī khulegī takrār se
chalo chalo thāne batāeṅ jamādār se
koi ulfat kī nazar zarā pher de
lele do chār āne jigar merā chheṛ de
bāteṅ haiṅ nazar kī nazar se samjhāūṅgī
pahle paṛo paiyāṅ to phir batlāūṅgī