Jaane kahaan gaee, dil meraa le gaee

जाने कहाँ गई, दिल मेरा ले गई
Year
Language

जाने कहाँ गई, जाने कहाँ गई
दिल मेरा ले गई, ले गई वो

देखते देखते क्या से क्या हो गया
धड़कनें रह गयी, दिल जुदा हो गया

आज टूटा हुआ दिल का ये साज़ है
अब वो नग्में कहाँ सिर्फ़ आवाज़ है

घूटता रहता ना दम, जान तो छूटती
काश कहता कोई, वो मोहब्बत न थी

हाल क्या है मेरा, आ के खुद देख जा
अब तेरे हाथ है जीना मरना मेरा

jāne kahāṇ gaī, jāne kahāṇ gaī
dil merā le gaī, le gaī vo

dekhte dekhte kyā se kyā ho gayā
dhaṛakneṅ rah gayī, dil judā ho gayā

āj ṭūṭā huā dil kā ye sāz hai
ab vo nagmeṅ kahāṇ sirf āvāz hai

ghūṭtā rahtā nā dam, jān to chhūṭtī
kāśh kahtā koī, vo mohabbat na thī

hāl kyā hai merā, ā ke khud dekh jā
ab tere hāth hai jīnā marnā merā