Jaane kab anjaane tumse muhabbat karne lage ham

जाने कब अन्जाने तुमसे मुहब्बत करने लगे हम्
Year
Language

जाने कब अन्जाने तुमसे मुहब्बत करने लगे हम
पागल दिल धड़का तो इस चेहरे पे मरने लगे हम
ऐसी मुलाकातों से मीठी मीठी बातों से
हो चैन कहीं तो खोने लगा है
जाने कब अन्जाने …

इस धड़कन की तन्हाईयों को तुम जो मिले
इन पलकों में दीवाने दिल के सपनें खिले
तेरी इस खुमारी का ऐसी बेकरारी का
जान-ए-मन जान-ए-जां दर्द नया है
जाने कब अन्जाने …

इस दुनिया की नज़रें बचा कर चल दें वहाँ
जहाँ हम तुम हों सपनों में ग़ुम हों झूमे समां
दिन हो या रातें हों अपनी ही बातें हों
हो यही तेरे मेरे दिल की सदा है
जाने कब अन्जाने …

jāne kab anjāne tumse muhabbat karne lage ham
pāgal dil dhaṛkā to is chehre pe marne lage ham
aisī mulākātoṅ se mīṭhī mīṭhī bātoṅ se
ho chain kahīṅ to khone lagā hai
jāne kab anjāne …

is dhaṛkan kī tanhāīyoṅ ko tum jo mile
in palkoṅ meṅ dīvāne dil ke sapneṅ khile
terī is khumārī kā aisī bekrārī kā
jān-e-man jān-e-jāṅ dard nayā hai
jāne kab anjāne …

is duniyā kī nazreṅ bachā kar chal deṅ vahāṇ
jahāṇ ham tum hoṅ sapnoṅ meṅ ġhum hoṅ jhūme samāṅ
din ho yā rāteṅ hoṅ apnī hī bāteṅ hoṅ
ho yahī tere mere dil kī sadā hai
jāne kab anjāne …