Jaan-e-man too khoob hai ... dil fidaa tujhpe kiyaa hai

जान-ए-मन तू खूब है ... दिल फ़िदा तुझपे किया है
Year
Language

जान-ए-मन तू खूब है खूब है तू खूब है
दिल फ़िदा तुझपे किया है तू मेरी महबूब है

जान-ए-मन तू खूब है खूब है तू खूब है
दिल फ़िदा तुझपे किया है तू मेरा महबूब है
जान-ए-मन तू …

दिल से दिल टकरा गए तो इक नशा छाने लगा
तुम लगे सीने से जीने का मज़ा आने लगा
ओ तेरी मीठी बातों में ना जाने कब मैं खो गई
हाँ ये खबर ना मुझको हुई मैं कब तुम्हारी हो गई
हो प्यार की है इक कहानी ये जवानी खूब है
दिल फ़िदा तुझपे …

इक घड़ी भी दिल को राहत बिन तेरे मिलती नहीं
तू नहीं मिलती तो दिल की धड़कनें चलती नहीं
हाय देखी तेरी दीवानगी देखा तेरा दीवानापन
तेरी वफ़ाओं ने मुझको पागल किया है जान-ए-मन
हो छा गई है मुझपे तू ये प्यार तेरा खूब है
दिल फ़िदा तुझपे …

jān-e-man tū khūb hai khūb hai tū khūb hai
dil fidā tujhpe kiyā hai tū merī mahbūb hai

jān-e-man tū khūb hai khūb hai tū khūb hai
dil fidā tujhpe kiyā hai tū merā mahbūb hai
jān-e-man tū …

dil se dil ṭakrā gae to ik naśhā chhāne lagā
tum lage sīne se jīne kā mazā āne lagā
o terī mīṭhī bātoṅ meṅ nā jāne kab maiṅ kho gaī
hāṇ ye khabar nā mujhko huī maiṅ kab tumhārī ho gaī
ho pyār kī hai ik kahānī ye javānī khūb hai
dil fidā tujhpe …

ik ghaṛī bhī dil ko rāhat bin tere miltī nahīṅ
tū nahīṅ miltī to dil kī dhaṛakneṅ chaltī nahīṅ
hāy dekhī terī dīvāngī dekhā terā dīvānāpan
terī vafāoṅ ne mujhko pāgal kiyā hai jān-e-man
ho chhā gaī hai mujhpe tū ye pyār terā khūb hai
dil fidā tujhpe …