Jaadoo teree nazar, khushboo teraa badan

जादू तेरी नज़र, खुशबू तेरा बदन्
Work
Year
Language

जादू तेरी नज़र, खुशबू तेरा बदन (2)
तू हाँ कर या ना कर (2)
तू है मेरी किरन (2)
जादू तेरी नज़र …

(मेरे ख्वाबोँ की तस्वीर है तू
बेखबर मेरी तक़दीर है तू ) - 2
तू किसी और की हो ना जाना
कुछ भी कर जाऊँगा मैँ दीवाना
तू हाँ कर या …

(फ़ासले और कम हो रहें हैँ
दूर से पास हम हो रहें हैँ ) - 2
माँग लूँगा मैँ तुझे आसमाँ से
छीन लूँगा तुझे इस जहाँ से
तू हाँ कर या …

jādū terī nazar, khuśhbū terā badan (2)
tū hāṇ kar yā nā kar (2)
tū hai merī kiran (2)
jādū terī nazar …

(mere khvāboṇ kī tasvīr hai tū
bekhabar merī taqdīr hai tū ) - 2
tū kisī aur kī ho nā jānā
kuchh bhī kar jāūṇgā maiṇ dīvānā
tū hāṇ kar yā …

(fāsle aur kam ho raheṅ haiṇ
dūr se pās ham ho raheṅ haiṇ ) - 2
māṇg lūṇgā maiṇ tujhe āsmāṇ se
chhīn lūṇgā tujhe is jahāṇ se
tū hāṇ kar yā …