जादू सा छाने लगा ... ये दिल क्या करे
जादू सा छाने लगा पागल बनाने लगा
कुछ याद आने लगा कुछ भूल जाने लगा
क्या ना करे क्या करे ये दिल क्या करे
दीवाना पागल सा दिल आँखों में काजल सा दिल
लहराते आँचल सा दिल ज़ुल्फ़ों में बादल का दिल
तरसे न ये बरसे न ये
ये दिल क्या करे …
तुमसे चुरा लें तुम्हें सबसे छुपा लें तुम्हें
जां से लगा लें तुम्हें सपना बना लें तुम्हें
मैं बेताब हूँ तू बेचैन है
ये दिल क्या करे …
भूला फ़साना कोई गुज़रा ज़माना कोई
साथी पुराना कोई बनके बहाना कोई
अगर दिल में यूं समा जाए तो
ये दिल क्या करे …
इस पार रह ना सके उस पार जा ना सके
खामोश रह ना सके जो चाहे कह ना सके
ये पागल समां ये मौसम जवां
ये दिल क्या करे …
jādū sā chhāne lagā pāgal banāne lagā
kuchh yād āne lagā kuchh bhūl jāne lagā
kyā nā kare kyā kare ye dil kyā kare
dīvānā pāgal sā dil āṇkhoṅ meṅ kājal sā dil
lahrāte āṇchal sā dil zulfoṅ meṅ bādal kā dil
tarse na ye barse na ye
ye dil kyā kare …
tumse churā leṅ tumheṅ sabse chhupā leṅ tumheṅ
jāṅ se lagā leṅ tumheṅ sapnā banā leṅ tumheṅ
maiṅ betāb hūṇ tū bechain hai
ye dil kyā kare …
bhūlā fasānā koī guzrā zamānā koī
sāthī purānā koī banke bahānā koī
agar dil meṅ yūṅ samā jāe to
ye dil kyā kare …
is pār rah nā sake us pār jā nā sake
khāmośh rah nā sake jo chāhe kah nā sake
ye pāgal samāṅ ye mausam javāṅ
ye dil kyā kare …