Jaadoo hai ye kaisaa kaisaa khumaar hai

जादू है ये कैसा कैसा खुमार है
Work
Year
Language

जादू है ये कैसा कैसा खुमार है
ये पूछता है दिल कैसा ये प्यार है
कुछ रोज़ से बेचैन से बेताब थोड़े से हम हैं तुम हो
जादू है ये कैसा …

आँखों में रात जागे अब नींद क्‌यूं न आए
यादों की बेख्याली मेरा चैन ले के जाए
हम दोनों हैं टूटे बिखरे होश खो रहा है
तुमसे मिलके तुमको पाके कुछ तो हो रहा है
तुम पास हो फिर भी क्‌यूं इंतज़ार है
ये पूछता है …

कैसे बताएं तुम से क्‌या बात हो रही है
लगता है धूप में भी बरसात हो रही है
हम दीवाने तुम हो पागल बहके हम हैं बहके
तेरी साँसों को छू छू के मेरी साँस महके
कैसा है ये मौसम कैसी बहार है
ये पूछता है …

jādū hai ye kaisā kaisā khumār hai
ye pūchhtā hai dil kaisā ye pyār hai
kuchh roz se bechain se betāb thoṛe se ham haiṅ tum ho
jādū hai ye kaisā …

āṇkhoṅ meṅ rāt jāge ab nīṅd k‌yūṅ na āe
yādoṅ kī bekhyālī merā chain le ke jāe
ham donoṅ haiṅ ṭūṭe bikhre hośh kho rahā hai
tumse milke tumko pāke kuchh to ho rahā hai
tum pās ho phir bhī k‌yūṅ iṅtazār hai
ye pūchhtā hai …

kaise batāeṅ tum se k‌yā bāt ho rahī hai
lagtā hai dhūp meṅ bhī barsāt ho rahī hai
ham dīvāne tum ho pāgal bahke ham haiṅ bahke
terī sāṇsoṅ ko chhū chhū ke merī sāṇs mahke
kaisā hai ye mausam kaisī bahār hai
ye pūchhtā hai …