Jaadoo bharee aankhon vaalee suno ... tum aise mujhe dekhaa na karo

जादू भरी आँखों वाली सुनो ... तुम ऐसे मुझे देखा न करो
Work
Year
Language

मुझको जब ऐसे देखती हो तुम
रंग भर जाते हैं फ़िज़ाओं में
कसमसाती है आरज़ू दिल में
गीत घुल जाते हैं हवाओं में

जादू भरी आँखों वाली सुनो
तुम ऐसे मुझे देखा न करो
फिर मैं कोई उम्मीद करूं
फिर मुझको कोई अरमां हो

तुम शायद मेरी बन जाओ
फिर दिल को ऐसा गुमां हो
पर ऐसा न हो अच्छा है
इन बातों में क्‌या रखा है
मुझको ऐसी उम्मीद न दो
जादू भरी आँखों …

फिर धड़कन में तुम बस जाओ
फिर कोई गज़ल मैं गाऊं
फिर चाँद में तुमको मैं देखूं
फूलों में तुमको पाऊं
पर ऐसा न हो अच्छा है
इसका अन्जाम तो होता है
वो दर्द ही देता है दिल को
जादू भरी आँखों …

mujhko jab aise dekhtī ho tum
raṅg bhar jāte haiṅ fizāoṅ meṅ
kasamsātī hai ārazū dil meṅ
gīt ghul jāte haiṅ havāoṅ meṅ

jādū bharī āṇkhoṅ vālī suno
tum aise mujhe dekhā na karo
phir maiṅ koī ummīd karūṅ
phir mujhko koī armāṅ ho

tum śhāyad merī ban jāo
phir dil ko aisā gumāṅ ho
par aisā na ho achchhā hai
in bātoṅ meṅ k‌yā rakhā hai
mujhko aisī ummīd na do
jādū bharī āṇkhoṅ …

phir dhaṛkan meṅ tum bas jāo
phir koī gazal maiṅ gāūṅ
phir chāṇd meṅ tumko maiṅ dekhūṅ
phūloṅ meṅ tumko pāūṅ
par aisā na ho achchhā hai
iskā anjām to hotā hai
vo dard hī detā hai dil ko
jādū bharī āṇkhoṅ …