Jaa re badraa bairee jaa re

जा रे बदरा बैरी जा रे
Work
Year
Language

जा रे बदरा बैरी जा रे जा रे
पिया का सन्देसवा ला रे ला रे ला रे
जा रे बदरा बैरी जा रे जा रे

पी के दरस को जियरा तरसे
पी की खबरिया ला रे ला रे ला रे
जा रे …

कहियो सजन से मन की बतिया
रो रो हाल सुना
जा रे …

बाट तकत मोरी हारी नजरिया
कब आयेंगे साँवरिया
मोहे क्‌यों सताये पापी
शोर मचाये जा रे
मोरा साँवरिया ला रे ला रे ला रे
जा रे …

jā re badrā bairī jā re jā re
piyā kā sandesvā lā re lā re lā re
jā re badrā bairī jā re jā re

pī ke daras ko jiyrā tarse
pī kī khabriyā lā re lā re lā re
jā re …

kahiyo sajan se man kī batiyā
ro ro hāl sunā
jā re …

bāṭ takat morī hārī najriyā
kab āyeṅge sāṇvriyā
mohe k‌yoṅ satāye pāpī
śhor machāye jā re
morā sāṇvriyā lā re lā re lā re
jā re …