इतने दूर हैं हुज़ूर कैसे मुलाकात हो
इतने दूर हैं हुज़ूर कैसे मुलाकात हो
कुछ तुम चलो कुछ हम चलें
फिर दिल से दिल की बात हो
हमारे दिल की बात को कहे बग़ैर जान लो
अगर वह बात जान ली तो अर्ज है कि मान लो
हो चुपके-चुपके फ़ैसला और चोरी-चोरी बात हो
नज़र सलाम कर चुकी ज़रा जवाब दीजिए
हुज़ूर हम हैं आपके न हमसे शर्म कीजिए
तुम हाँ कहो हम हाँ कहें
फिर दिल से दिल की बात हो
इतने दूर हैं …
itne dūr haiṅ huzūr kaise mulākāt ho
kuchh tum chalo kuchh ham chaleṅ
phir dil se dil kī bāt ho
hamāre dil kī bāt ko kahe baġhair jān lo
agar vah bāt jān lī to arj hai ki mān lo
ho chupke-chupke faislā aur chorī-chorī bāt ho
nazar salām kar chukī zarā javāb dījie
huzūr ham haiṅ āpke na hamse śharm kījie
tum hāṇ kaho ham hāṇ kaheṅ
phir dil se dil kī bāt ho
itne dūr haiṅ …