Itnaa main chaahoon tujhe koee kisee ko naa chaahe

इतना मैं चाहूं तुझे कोई किसी को ना चाहे
Work
Year
Language

इतना मैं चाहूँ तुझे कोई किसी को न चाहे
इतना मैं चाहूँ तुझे हो कोई किसी को न चाहे
तू भी मुझ से प्यार करे काश वो दिन भी आए

तेरे बारे में जब सोचूँ आँख मेरी भर आए
इतना मैं चाहूँ …

तुम को नहीं मालूम मैं तुझ से कितनी मुहोब्बत करता हूँ
याद में तेरी तनहा अकेला मैं तो आहें भरता हूँ
नज़रें उठाऊँ नज़रें झुकाऊँ सामने तू मुस्काए
इतना मैं चाहूँ …

खुद पे तो मैं पहरे लगा लूँ रोक ना पाऊं यादों को
भूल गया तू मैं ना भूली उन कसमों उन वादों को
दूरी मुझको जीने ना दे तन्हाई तड़पाए
इतना मैं चाहूँ …

itnā maiṅ chāhūṇ tujhe koī kisī ko na chāhe
itnā maiṅ chāhūṇ tujhe ho koī kisī ko na chāhe
tū bhī mujh se pyār kare kāśh vo din bhī āe

tere bāre meṅ jab sochūṇ āṇkh merī bhar āe
itnā maiṅ chāhūṇ …

tum ko nahīṅ mālūm maiṅ tujh se kitnī muhobbat kartā hūṇ
yād meṅ terī tanhā akelā maiṅ to āheṅ bhartā hūṇ
nazreṅ uṭhāūṇ nazreṅ jhukāūṇ sāmne tū muskāe
itnā maiṅ chāhūṇ …

khud pe to maiṅ pahre lagā lūṇ rok nā pāūṅ yādoṅ ko
bhūl gayā tū maiṅ nā bhūlī un kasmoṅ un vādoṅ ko
dūrī mujhko jīne nā de tanhāī taṛpāe
itnā maiṅ chāhūṇ …