इतना भी ना चाहो मुझे
कि मैं इक पल तुमसे दूर रह ना सकूं
यूं ना प्यार से देखो मुझे
के मैं दिल की बातें तुझसे कह ना सकूं
इतना भी ना …
इतनी बेचैनी ले के कैसे जियेगा कोई
इतनी चाहत दामन में कैसे रखेगा कोई
चैन कहीं लेने न दे मुझको प्यार तेरा
इतना भी ना …
सोचा ना होगा तुमने इतना प्यार करूंगा
मांग के देखो जान मेरी जान भी मैं दे दूंगा
भूलूंगा ना मैं तुझको कभी अब मेरी जान-ए-वफ़ा
इतना भी ना …
itnā bhī nā chāho mujhe
ki maiṅ ik pal tumse dūr rah nā sakūṅ
yūṅ nā pyār se dekho mujhe
ke maiṅ dil kī bāteṅ tujhse kah nā sakūṅ
itnā bhī nā …
itnī bechainī le ke kaise jiyegā koī
itnī chāhat dāman meṅ kaise rakhegā koī
chain kahīṅ lene na de mujhko pyār terā
itnā bhī nā …
sochā nā hogā tumne itnā pyār karūṅgā
māṅg ke dekho jān merī jān bhī maiṅ de dūṅgā
bhūlūṅgā nā maiṅ tujhko kabhī ab merī jān-e-vafā
itnā bhī nā …