अचको मचको का करूं राम हो गोरा मुखड़ा है हाँ
अचको मचको का करूं राम मेरा जीवन है फुलवा की डाली
अचको मचको का करूं राम
जब जब देखूं मैं आईना शर्म मुझे क्यों आए
अंजानी सी प्यास उठे
कोई नागिन सी डस जाए
कोई काँटा चुभा क्या अरे ना रे ना
कहीं दर्द हुआ क्या अरे ना ना ना
छोड़ मुझे गोरी ना कर जोरा जोरी
बात किसी की भी मैं मानूं ना
पहले गुल थी अब गुलनार हुई
ऐसी हालत तो पहली बार हुई
ये जवानी बड़ी दुश्वार हुई
धीरे धीरे बचपन बीता लंबी हो गई चोटी
जब से आई मस्त जवानी हो गई कुर्ती छोटी
कोई सपनों में आया अरे ना रे ना
सारी रात जगाया अरे ना रे ना
बोल सखी ऐसे गज़ब हुआ कैसे
ये कैसा ज़हर है मैं जानूं ना
मेरी चोली के टूटे सब धागे
धक धक जियरा पे current लागे
अचको मचको का करूं राम राम जाने क्या होगा आगे
अचको मचको का करूं …
achko machko kā karūṅ rām ho gorā mukhaṛā hai hāṇ
achko machko kā karūṅ rām merā jīvan hai phulvā kī ḍālī
achko machko kā karūṅ rām
jab jab dekhūṅ maiṅ āīnā śharm mujhe kyoṅ āe
aṅjānī sī pyās uṭhe
koī nāgin sī ḍas jāe
koī kāṇṭā chubhā kyā are nā re nā
kahīṅ dard huā kyā are nā nā nā
chhoṛ mujhe gorī nā kar jorā jorī
bāt kisī kī bhī maiṅ mānūṅ nā
pahle gul thī ab gulnār huī
aisī hālat to pahlī bār huī
ye javānī baṛī duśhvār huī
dhīre dhīre bachapan bītā laṅbī ho gaī choṭī
jab se āī mast javānī ho gaī kurtī chhoṭī
koī sapnoṅ meṅ āyā are nā re nā
sārī rāt jagāyā are nā re nā
bol sakhī aise gazab huā kaise
ye kaisā zahar hai maiṅ jānūṅ nā
merī cholī ke ṭūṭe sab dhāge
dhak dhak jiyrā pe current lāge
achko machko kā karūṅ rām rām jāne kyā hogā āge
achko machko kā karūṅ …