Ishq men mahroomiyaan ... jo tum badle jahaan badlaa

इश्क़ में महरूमियाँ ... जो तुम बदले जहाँ बदला
Work
Year
Language

इश्क़ में महरूमियाँ नाकामियाँ बरबादियाँ
मेरी क़िस्मत में जो लिक्‌खा है मुझे मालूम है

जो तुम बदले जहाँ बदला नज़र बदली ज़माने की -2
ये आँसू चार बाकी हैं निशानी दिल लगाने की
जो तुम बदले जहाँ बदला

उजड़ना इसको कहते हैं बिगड़ना इसको कहते हैं
के न तिनके रहे ना शाख़ बाक़ी आशियाने की

जो तुम बदले जहाँ बदला नज़र बदली ज़माने की -2
ये आँसू चार बाकी हैं निशानी दिल लगाने की
जो तुम बदले जहाँ बदला

ज़रा रुक जाओ मेरे आँसुओँ बहने से रुक जाओ
अभी तो इब्तेदा ही है मेरे ग़म के फ़साने की

जो तुम बदले जहाँ बदला नज़र बदली ज़माने की -2
ये आँसू चार बाकी हैं निशानी दिल लगाने की
जो तुम बदले जहाँ बदला

iśhq meṅ mahrūmiyāṇ nākāmiyāṇ barbādiyāṇ
merī qismat meṅ jo lik‌khā hai mujhe mālūm hai

jo tum badle jahāṇ badlā nazar badlī zamāne kī -2
ye āṇsū chār bākī haiṅ niśhānī dil lagāne kī
jo tum badle jahāṇ badlā

ujaṛnā isko kahte haiṅ bigaṛnā isko kahte haiṅ
ke na tinke rahe nā śhākh bāqī āśhiyāne kī

jo tum badle jahāṇ badlā nazar badlī zamāne kī -2
ye āṇsū chār bākī haiṅ niśhānī dil lagāne kī
jo tum badle jahāṇ badlā

zarā ruk jāo mere āṇsuoṇ bahne se ruk jāo
abhī to ibtedā hī hai mere ġham ke fasāne kī

jo tum badle jahāṇ badlā nazar badlī zamāne kī -2
ye āṇsū chār bākī haiṅ niśhānī dil lagāne kī
jo tum badle jahāṇ badlā