इश्क़ है क्या कुछ नहीं ... नज़रें चुराना ना
इश्क़ है क्या कुछ नहीं है मुहब्बत
कल कुछ नहीं बस यही है हकीकत
नज़रें चुराना ना यूं दिल जलाना ना
आ मेरे नज़दीक आ
Love me just for the day
मैं तो हसीनों का हूं दीवाना
दिलकश अदाएं मेरा निशाना
देखूं जहाँ मैं बहकी जवानी
छाने लगे इक नशा
कैसे बताऊं तुझे मेरी हालत
कल कुछ नहीं बस …
तेरी नशीली आँखों से पी लूँ
मैं दो घड़ी तो मस्ती में जी लूँ
कहती है तेरे होंठों की लाली
आ प्यास मेरी बुझा
अच्छी लगे मुझे तेरी शरारत
कल कुछ नहीं बस …
iśhq hai kyā kuchh nahīṅ hai muhabbat
kal kuchh nahīṅ bas yahī hai hakīkat
nazreṅ churānā nā yūṅ dil jalānā nā
ā mere nazdīk ā
Love me just for the day
maiṅ to hasīnoṅ kā hūṅ dīvānā
dilkaśh adāeṅ merā niśhānā
dekhūṅ jahāṇ maiṅ bahkī javānī
chhāne lage ik naśhā
kaise batāūṅ tujhe merī hālat
kal kuchh nahīṅ bas …
terī naśhīlī āṇkhoṅ se pī lūṇ
maiṅ do ghaṛī to mastī meṅ jī lūṇ
kahtī hai tere hoṅṭhoṅ kī lālī
ā pyās merī bujhā
achchhī lage mujhe terī śharārat
kal kuchh nahīṅ bas …