Ishq hai chaandee ... ishq bhee k‌yaa cheez hai

इश्क़ है चाँदी ... इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
Year
Language

इश्क़ है चाँदी इश्क़ है सोना इश्क़ है हीरे मोती
इश्क़ अगर ना होता लोगों ये दुनिया ना होती

कोई ये बताओ इश्क़ होता है क्‌या
क्‌यूं होता है इसमें होता है क्‌या

कभी दिल घबराए कभी नींद उड़ी जाए
कहीं चैन न आए इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
हो इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
कभी दिल घबराए …

ये क्‌या चीज़ है
कभी सपने दिखाए कभी उम्मीदें बढ़ाए
कभी दर्द जगाए इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
हो इश्क़ भी क्‌या चीज़ है

दिल खोया खोया रहे हो कुछ भी ना अच्छा लगे
ओ जग सारा झूठा लगे ओ महबूब सच्चा लगे
ये तो है ऐसी सज़ा आता है जिसमें मज़ा
कभी सावन बरसाए कभी शोले भड़काए
कई मौसम ये दिखाए इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
हो इश्क़ भी क्‌या चीज़ है

हो चाहें जो भी उमर हो होता है इसका असर
मुमकिन भुलाना नहीं ओ ये तो है ऐसा सफ़र
दिल से दिल जो मिले होते शुरू सिलसिले
कभी कहा नहीं जाए कभी सहा नहीं जाए
चुप रहा नहीं जाए इश्क़ भी क्‌या चीज़ है
हो इश्क़ भी क्‌या चीज़ है

iśhq hai chāṇdī iśhq hai sonā iśhq hai hīre motī
iśhq agar nā hotā logoṅ ye duniyā nā hotī

koī ye batāo iśhq hotā hai k‌yā
k‌yūṅ hotā hai ismeṅ hotā hai k‌yā

kabhī dil ghabrāe kabhī nīṅd uṛī jāe
kahīṅ chain na āe iśhq bhī k‌yā chīz hai
ho iśhq bhī k‌yā chīz hai
kabhī dil ghabrāe …

ye k‌yā chīz hai
kabhī sapne dikhāe kabhī ummīdeṅ baṛhāe
kabhī dard jagāe iśhq bhī k‌yā chīz hai
ho iśhq bhī k‌yā chīz hai

dil khoyā khoyā rahe ho kuchh bhī nā achchhā lage
o jag sārā jhūṭhā lage o mahbūb sachchā lage
ye to hai aisī sazā ātā hai jismeṅ mazā
kabhī sāvan barsāe kabhī śhole bhaṛkāe
kaī mausam ye dikhāe iśhq bhī k‌yā chīz hai
ho iśhq bhī k‌yā chīz hai

ho chāheṅ jo bhī umar ho hotā hai iskā asar
mumkin bhulānā nahīṅ o ye to hai aisā safar
dil se dil jo mile hote śhurū silsile
kabhī kahā nahīṅ jāe kabhī sahā nahīṅ jāe
chup rahā nahīṅ jāe iśhq bhī k‌yā chīz hai
ho iśhq bhī k‌yā chīz hai