Tum saamne baithe raho palken meree tham jaaen

तुम सामने बैठे रहो पलकें मेरी थम जाएं
Work
Year
Language

तुम सामने बैठे रहो पलकें मेरी थम जाएं
हसरत है ये घड़ियाँ जब आएं वो थम जाएं
तुम सामने बैठे रहो …

तुमसे ही मोहब्बत है तुम पर ही अक़ीदत है
ऐ जान-ए-तमन्नाई ये बात हक़ीक़त है
अब छोटे से इस दिल में ये छोटी सी हसरत है
तुम सामने बैठे रहो …

आए न कभी दूरी कोई न हो मजबूरी
तोहफ़ा है यही मेरा रहे माँग ये सिन्दूरी -2
मेरे दिल की दुआ है के हो आस मेरी पूरी
तुम सामने बैठे रहो …

tum sāmne baiṭhe raho palkeṅ merī tham jāeṅ
hasrat hai ye ghaṛiyāṇ jab āeṅ vo tham jāeṅ
tum sāmne baiṭhe raho …

tumse hī mohabbat hai tum par hī aqīdat hai
ai jān-e-tamannāī ye bāt haqīqat hai
ab chhoṭe se is dil meṅ ye chhoṭī sī hasrat hai
tum sāmne baiṭhe raho …

āe na kabhī dūrī koī na ho majbūrī
tohafā hai yahī merā rahe māṇg ye sindūrī -2
mere dil kī duā hai ke ho ās merī pūrī
tum sāmne baiṭhe raho …