tū laṛkī gorī chiṭṭī hai terī bahnā moṭī kālī hai
kyūṅ banī na tū dulhan merī kyūṅ banī tū merī sālī hai
terā jījā tujhpe martā hai tujhe dekhke āheṅ bhartā hai
taṅg hūṇ maiṅ balmā se apne taktā hai vo tere sapne
ḍar lagtā hai merā saiyāṅ kahīṅ thām na le terī baiyāṅ
merā sajnā baṛā nikhaṭṭū hai vo julmī tujhpe laṭṭū hai
hāy taubā hāy taubā taubā taubā taubā
taubā merī javānī sautan ban gaī āj tumhārī
he kuṅvārī kuṛī maiṅ hūṅ kuṅvārī
he kuṛī kuṅvārī banī duśhman tumhārī
he kuṅvārī kuṛī rah gaī kuṅvārī
kuṛī kuṅvārī banī duśhman hamārī
hūṅ apnī to uṛ gaī hai niṅdiyā kyūṅ tūne chamkā dī biṅdiyā
maiṅ hūṇ jīje kī sālī uskī ādhī gharvālī
terā balmā merā jogī vo mere prem kā rogī
saiyāṅ terā dilvālā vo hai merā matvālā
tere sajan kī banūṅgī rānī tū bharegī merā pānī
are nā jāne kab ṭalegī apne sar se ye bīmārī
he kuṅvārī kuṛī maiṅ …
dekh dekh tujhe hāy dil dhaṛke koī na dekhā tujhse baṛhke
tum sab ho merī sakhiyāṅ nā mujhe dikhāo aṅkhiyāṅ
kyūṅ hotī ho bekābū karo miyāṅ ko apne kābū
tum unkā dil bahlāo ban ṭhan ke unheṅ rijhāo
ik bāt hai sīdhī sādī nahīṅ karnī mujhko śhādī
kahīṅ nahīṅ jānā hai mujhko maiṅ bhaiyā kī pyārī
he kuṅvārī kuṛī maiṅ …
o o merī bahnā phūloṅ kī ḍālī
terī bagiyā kā maiṅ hūṇ mālī
tū hai merā rakhvālā baṛe nāz se tūne pālā
dil āj talak nā bhūlā terī bāheṅ thī merā jhūlā
tū merī umar bhī jī le tere hāth karūṅgā pīle
maiṅ tere pyār kā ādī par karnī hai terī śhādī
are isī sāl sasurāl tū jāne kī karle taiyrī
he kuṅvārī kuṛī maiṅ …
he dīvānī ye laṛkī hai dīvānī
are banegī ik din apne rājā kī rānī
he dīvānī tū laṛkī hai dīvānī