sāthiyā ā
ā tū mere sapnoṅ kā mīt hai
ā tū mere hoṅṭhoṅ kā gīt hai
apnī janmoṅ kī prīt hai
khāo qasam na ho ye pyār kam
yahī vādā karo yahī rīt hai
sāthiyā …
( sitāre jānte haiṅ nazāre jānte haiṅ
sadā ke ham sāthī ye sāre jānte haiṅ ) -2
tū barsoṅ se mere sāth hai barsoṅ purānī mulāqāt hai
tū merā din-rāt hai
khāo qasam na ho …
ye rut mastānī ye phūl ye javānī
ye sab tujhse haiṅ o mere dilbar jānī
maiṅ tere bin kuchh bhī nahīṅ tū mere bin kuchh bhī nahīṅ
bahāroṅ se ye pūchho ke yāroṅ se ye pūchho
kaheṅge yahī sāre hazāroṅ se pūchho
sāthiyā …
tū merā dil merī jān hai
tū merā armān hai
tū hī merī pahchān hai
khāo qasam na ho …
sāthiyā …