Insaaf kee dagar pe, bachchon dikhaao chal ke

इन्साफ़ की डगर पे, बच्चों दिखाओ चल के
Year
Language

इन्साफ़ की डगर पे, बच्चों दिखाओ चल के
ये देश है तुम्हारा, नेता तुम्हीं हो कल के

दुनिया के रंज सहना और कुछ न मुँह से कहना
सच्चाइयों के बल पे आगे को बढ़ते रहना
रख दोगे एक दिन तुम संसार को बदल के
इन्साफ़ की …

अपने हों या पराए सबके लिये हो न्याय
देखो कदम तुम्हारा हरगिज़ न डगमगाए
रस्ते बड़े कठिन हैं चलना सम्भल-सम्भल के
इन्साफ़ की …

इन्सानियत के सर पर इज़्ज़त का ताज रखना
तन मन भी भेंट देकर भारत की लाज रखना
जीवन नया मिलेगा अंतिम चिता में जल के,
इन्साफ़ की …

insāf kī ḍagar pe, bachchoṅ dikhāo chal ke
ye deśh hai tumhārā, netā tumhīṅ ho kal ke

duniyā ke raṅj sahnā aur kuchh na muṇh se kahnā
sachchāiyoṅ ke bal pe āge ko baṛhte rahnā
rakh doge ek din tum saṅsār ko badal ke
insāf kī …

apne hoṅ yā parāe sabke liye ho nyāy
dekho kadam tumhārā hargiz na ḍagamgāe
raste baṛe kaṭhin haiṅ chalnā sambhal-sambhal ke
insāf kī …

insāniyat ke sar par izazat kā tāj rakhnā
tan man bhī bheṅṭ dekar bhārat kī lāj rakhnā
jīvan nayā milegā aṅtim chitā meṅ jal ke,
insāf kī …