Imtehaan ham pyaar kaa de ke ... dolaa dolaa dolaa

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के ... डोला डोला डोला
Year
Language

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के राह देखें क्‌या है नतीजा

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के राह देखें क्‌या है नतीजा -2

ना आया यकीन दिल को जब नाम अपना देखा

कागज़ पे वो तेरे दिल के ये आँखें हुई हैराँ

सच है सच है जो देखा है

दिलबर तन-मन अपना हमने वारा तुम पे

डोला डोला डोला डोला मन डोला डोला डोला -2

हा आअ
गोरी-गोरी ये कलाई तेरी छू लूँ ज़रा

तेरी चूड़ियों से धुन कोई छेड़ूँ ज़रा

गोरी-गोरी ये कलाई तेरी छू लूँ ज़रा
तेरी चूड़ियों से धुन कोई छेड़ूँ ज़रा

जिस पल तू ने छुआ मुझे ज़रा-ज़रा

मुझे हया भी आई दिल को आया मज़ा ज़रा

तेरे रूप की शराब आँखों से पीते हैं

सच्चे मयकश तो ऐसे ही होते हैं

ज़िंदगी यूँ ही बीत रही थी सनम

तेरे मिलने से जीने में आया है दम

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के राह देखें क्‌या है नतीजा -2
डोला डोला डोला डोला मन डोला डोला डोला -2

मेरा रूप है तुझ से खिला-खिला

ख़ुशियों का है तुम से ही सिलसिला

मैंने रब से जो माँगी दुआ-दुआ

उन्हीं दुआओं का तुम ही तो हो ना सिला-सिला

अब तो प्यार कि बरसात होनी है दिन रात

चाहें कुछ हों हालात देना प्यार का साथ

यूँ ही अपनी मोहब्बत फूले-फले

ये कारवाँ यूँ ही चला चले

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के राह देखें क्‌या है नतीजा -2
डोला डोला डोला डोला मन डोला डोला डोला -2

इम्तेहाँ हम प्यार का दे के राह देखें क्‌या है नतीजा -2
डोला डोला डोला डोला मन डोला डोला डोला -2

imtehāṇ ham pyār kā de ke rāh dekheṅ k‌yā hai natījā

imtehāṇ ham pyār kā de ke rāh dekheṅ k‌yā hai natījā -2

nā āyā yakīn dil ko jab nām apnā dekhā

kāgaz pe vo tere dil ke ye āṇkheṅ huī hairāṇ

sach hai sach hai jo dekhā hai

dilbar tan-man apnā hamne vārā tum pe

ḍolā ḍolā ḍolā ḍolā man ḍolā ḍolā ḍolā -2

hā āa
gorī-gorī ye kalāī terī chhū lūṇ zarā

terī chūṛiyoṅ se dhun koī chheṛūṇ zarā

gorī-gorī ye kalāī terī chhū lūṇ zarā
terī chūṛiyoṅ se dhun koī chheṛūṇ zarā

jis pal tū ne chhuā mujhe zarā-zarā

mujhe hayā bhī āī dil ko āyā mazā zarā

tere rūp kī śharāb āṇkhoṅ se pīte haiṅ

sachche maykaśh to aise hī hote haiṅ

ziṅdgī yūṇ hī bīt rahī thī sanam

tere milne se jīne meṅ āyā hai dam

imtehāṇ ham pyār kā de ke rāh dekheṅ k‌yā hai natījā -2
ḍolā ḍolā ḍolā ḍolā man ḍolā ḍolā ḍolā -2

merā rūp hai tujh se khilā-khilā

khuśhiyoṅ kā hai tum se hī silsilā

maiṅne rab se jo māṇgī duā-duā

unhīṅ duāoṅ kā tum hī to ho nā silā-silā

ab to pyār ki barsāt honī hai din rāt

chāheṅ kuchh hoṅ hālāt denā pyār kā sāth

yūṇ hī apnī mohabbat phūle-phale

ye kārvāṇ yūṇ hī chalā chale

imtehāṇ ham pyār kā de ke rāh dekheṅ k‌yā hai natījā -2
ḍolā ḍolā ḍolā ḍolā man ḍolā ḍolā ḍolā -2

imtehāṇ ham pyār kā de ke rāh dekheṅ k‌yā hai natījā -2
ḍolā ḍolā ḍolā ḍolā man ḍolā ḍolā ḍolā -2