Ilaahee too sun le hamaaree duaa

इलाही तू सुन ले हमारी दुआ
Year
Language

इलाही तू सुन ले हमारी दुआ
हमें सिर्फ़ एक आसरा है तेरा
तेरी रहमतें राह रोशन करें
सलामत रहे साया माँ-बाप का
इलाही तू सुन ले …

हमसे लेकर उमर सारी नींद दे-दे उन्हें
दर्द उनके दे-दे हमें
बुरी ये घड़ी टाल दे ए ख़ुदा
इलाही तू सुन ले …

नाज़ उठाए जिसने पाला प्यार हरदम दिया
हो न हमसे वो जुदा
तू उम्मीद का ये दीया मत बुझा
इलाही तू सुन ले …

सिवा तेरे मालिक मेरा कौन है यहाँ
बेवफ़ा ये है जहाँ
कहीं तू भी हमको न देना भुला
इलाही तू सुन ले …

ilāhī tū sun le hamārī duā
hameṅ sirf ek āsrā hai terā
terī rahamteṅ rāh rośhan kareṅ
salāmat rahe sāyā māṇ-bāp kā
ilāhī tū sun le …

hamse lekar umar sārī nīṅd de-de unheṅ
dard unke de-de hameṅ
burī ye ghaṛī ṭāl de e khudā
ilāhī tū sun le …

nāz uṭhāe jisne pālā pyār hardam diyā
ho na hamse vo judā
tū ummīd kā ye dīyā mat bujhā
ilāhī tū sun le …

sivā tere mālik merā kaun hai yahāṇ
bevafā ye hai jahāṇ
kahīṅ tū bhī hamko na denā bhulā
ilāhī tū sun le …