ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī -2
āj apnoṅ ke liye, dil ke ṭukaṛoṅ ke liye
ek sitam aur sahī
ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī
āj apnoṅ ke liye, dil ke ṭukaṛoṅ ke liye
ek sitam aur sahī
ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī
āj phir rūp sajāyā ke kharīdār mileṅ -2
phir naye kūṇche mileṅ, phir naye bāzār mileṅ
kal talak nāche the ham sāre zamāne ke liye
āj ham gāyeṅge taqdīr banāne ke liye
dil jahāṇ zakhmī huā, āṇkh nam aur sahī
āj apnoṅ ke liye, dil ke ṭukaṛoṅ ke liye
ek sitam aur sahī
ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī
ā
kyūṇ na ham becheṅ adāyeṅ ke tavāef haiṅ ham -2
kyūṇ na bāzār sajāyeṅ ke tavāef haiṅ ham
mil nahīṅ saktā hameṅ koī śharīfoṅ meṅ maqām
kisliye phir na kareṅ apne badan kā nīlām
behyāī kī taraf ek qadam aur sahī
āj apnoṅ ke liye, dil ke ṭukaṛoṅ ke liye
ek qadam aur sahī
ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī
āj apnoṅ ke liye, dil ke ṭukaṛoṅ ke liye
ek sitam aur sahī
ġham jahāṇ itne sahe, ek ġham aur sahī