Ik din kaheen ham do milen ... kabhee main kahoon ... kabhee tum kaho

इक दिन कहीं हम दो मिलें ... कभी मैं कहूं ... कभी तुम कहो
Year
Language

इक दिन कहीं हम दो मिलें और तीसरा कोई न हो
बैठे रहें खोए रहें कुछ मैं कहूं कुछ तुम कहो
कभी मैं कहूं ज़रा सुन तो लो कभी तुम कहो अब कह भी दो
कभी मैं कहूं तुम्हें नाज़नीं कभी तुम कहो मुझे हमनशीं
कभी मैं कहूं सुनो महज़बीं नहीं तुम बिन मुझको चैन कहीं
फिर तुम कहो कि तुम्हें है यकीं फिर मैं कहूं कि मुझे प्यार है तुमसे
इक दिन कहीं …

मौसम की बात राहों की बात मंज़िल की बात हो
फूलों की बात ख्वाबों की बात फिर दिल की बात हो
महकी सी हों तन्हाईयां आने लगें अंगड़ाइयां
धड़के ये दिल कांपे नज़र तुमको कभी छू लूं अगर
मैं ये कहूं कहता रहूं कि मुझे तुम बिन अब जीना नहीं
फिर तुम कहो तुम्हें है यकीं …

चंचल हवाएं आंचल उड़ाएं लेकिन मैं थाम लूं
समझो इशारा जब मैं तुम्हारा कोई भी नाम लूं
तुम्हें प्यार मैं करता रहूं कभी चाँदनी कभी रागनी
कभी तुमको मैं कहूं गीत हो जीवन का तुम संगीत हो
मेरी प्रीत हो मनमीत हो तुम कहो तो दे दूं जान अभी
फिर तुम कहो कि तुम्हें है यकीं …

ik din kahīṅ ham do mileṅ aur tīsrā koī na ho
baiṭhe raheṅ khoe raheṅ kuchh maiṅ kahūṅ kuchh tum kaho
kabhī maiṅ kahūṅ zarā sun to lo kabhī tum kaho ab kah bhī do
kabhī maiṅ kahūṅ tumheṅ nāznīṅ kabhī tum kaho mujhe hamanśhīṅ
kabhī maiṅ kahūṅ suno mahazbīṅ nahīṅ tum bin mujhko chain kahīṅ
phir tum kaho ki tumheṅ hai yakīṅ phir maiṅ kahūṅ ki mujhe pyār hai tumse
ik din kahīṅ …

mausam kī bāt rāhoṅ kī bāt maṅzil kī bāt ho
phūloṅ kī bāt khvāboṅ kī bāt phir dil kī bāt ho
mahkī sī hoṅ tanhāīyāṅ āne lageṅ aṅgaṛāiyāṅ
dhaṛke ye dil kāṅpe nazar tumko kabhī chhū lūṅ agar
maiṅ ye kahūṅ kahtā rahūṅ ki mujhe tum bin ab jīnā nahīṅ
phir tum kaho tumheṅ hai yakīṅ …

chaṅchal havāeṅ āṅchal uṛāeṅ lekin maiṅ thām lūṅ
samjho iśhārā jab maiṅ tumhārā koī bhī nām lūṅ
tumheṅ pyār maiṅ kartā rahūṅ kabhī chāṇdnī kabhī rāgnī
kabhī tumko maiṅ kahūṅ gīt ho jīvan kā tum saṅgīt ho
merī prīt ho manmīt ho tum kaho to de dūṅ jān abhī
phir tum kaho ki tumheṅ hai yakīṅ …