इक बात कहूँ वल्लाह ... कहो कैसी रही
म: इक बात कहूँ वल्लाह यह हुस्न सुभान-अल्लाह
जब नाम लिया दिल थाम लिया कहो कैसी रही
सु: बस तुमने क़दर की है क्या ख़ूब नज़र की है
दिलदार मिले तो ऐसा मिले क्या बात कही
मु: ऐसे को मिले तैसे यह तुमको मिले जैसे
जब इश्क़ नहीं तो कुछ भी नहीं कहो कैसी कही
सु: दुनिया में हसीं न होते
म: जी हम भी कहीं ना होते
मु: हमसे है तुम्हारी शोख़ी क्या होता हमीं ना होते -2
म: हम नाज़ उठाते हैं रूठों को मनाते हैं
मु: जब इश्क़ नहीं तो …
सु: यह रूप है तो ये रंग है
म: जीने के यही तो ढंग हैं
मु: जी आपके हाथों ही तो यह मर्द बिचारे तंग हैं -2
म: यह तिरछी नज़र क़ातिल तुम हो तो जवाँ है दिल
मु: जब इश्क़ नहीं तो …
सु ; हम हैं तो धड़कते हैं दिल -2
म: तुम हो तो मचलते हैं दिल
मु: सूरत पे नहीं जाते हम इस दिल से परखते हैं दिल
सच कहने के आदी हैं हम तो सत्यवादी हैं
मु: जब इश्क़ नहीं तो …
ma: ik bāt kahūṇ vallāh yah husn subhān-allāh
jab nām liyā dil thām liyā kaho kaisī rahī
su: bas tumne qadar kī hai kyā khūb nazar kī hai
dildār mile to aisā mile kyā bāt kahī
mu: aise ko mile taise yah tumko mile jaise
jab iśhq nahīṅ to kuchh bhī nahīṅ kaho kaisī kahī
su: duniyā meṅ hasīṅ na hote
ma: jī ham bhī kahīṅ nā hote
mu: hamse hai tumhārī śhokhī kyā hotā hamīṅ nā hote -2
ma: ham nāz uṭhāte haiṅ rūṭhoṅ ko manāte haiṅ
mu: jab iśhq nahīṅ to …
su: yah rūp hai to ye raṅg hai
ma: jīne ke yahī to ḍhaṅg haiṅ
mu: jī āpke hāthoṅ hī to yah mard bichāre taṅg haiṅ -2
ma: yah tirchhī nazar qātil tum ho to javāṇ hai dil
mu: jab iśhq nahīṅ to …
su ; ham haiṅ to dhaṛakte haiṅ dil -2
ma: tum ho to machalte haiṅ dil
mu: sūrat pe nahīṅ jāte ham is dil se parakhte haiṅ dil
sach kahne ke ādī haiṅ ham to satyvādī haiṅ
mu: jab iśhq nahīṅ to …