merā kuchh sāmān tumhāre pās paṛā hai
sāvan ke kuchh bhīge bhīge din rakhe haiṅ
aur mere ek khat meṅ lipṭī rāt paड़ī hai
vo rāt bujhā do, merā vo sāmān lauṭā do
patjhaṛ hai kuchh, hai nā ...
patjhaṛ meṅ kuchh pattoṅ ke girne kī āhaṭ
kānoṅ meṅ ek bār pahan ke lauṭāī thī
patjhaṛ kī vo śhākh abhī tak kāṇp rahī hai
vo śhākh girā do, merā vo sāmān lauṭā do
ek akelī chhatrī meṅ jab ādhe ādhe bhīg rahe the
ādhe sūkhe, ādhe gīle, sūkhā to maiṅ le āī thī
gīlā man śhāyad bistar ke pās paḍā ho
vo bhijvā do, merā vo sāmān lauṭā do
ek sau solah chāṇd kī rāteṅ, ek tumhāre kāṇdhe kā tīl
gīlī mehaṅdī kī khuśhbū, jhūṭhmūṭh ke śhikve kuchh
jhūṭhmūṭh ke vāde bhī, sab yād karā dūṇ
sab bhijvā do, merā vo sāmān lauṭā do
ek ijāज़t de do bas
jab is ko dafnāūṇgī
maiṅ bhī vahī so jāūṇgī