इधर फिर भी आना, उधर जाने वाले
इधर फिर भी आना, उधर जाने वाले
अरे जी को बेचैन कर जाने वाले
छुरी फेर देना तो अच्छा था इस से
लगावट से मुँह फेर कर जाने वाले
गला काटना पहले, फिर हाथ मलना
बड़े ढीठ निकले, मुकर जाने वाले
ये है प्रीत की रीत बदलो न इसको
गले पहले मिलते हैं घर जाने वाले
कहीं आरज़ू क्यों दिखा दे न इक दिन
कि यूँ देखो मरते हैं मर जाने वाले
idhar phir bhī ānā, udhar jāne vāle
are jī ko bechain kar jāne vāle
chhurī pher denā to achchhā thā is se
lagāvaṭ se muṇh pher kar jāne vāle
galā kāṭnā pahle, phir hāth malnā
baṛe ḍhīṭh nikle, mukar jāne vāle
ye hai prīt kī rīt badlo na isko
gale pahle milte haiṅ ghar jāne vāle
kahīṅ ārazū kyoṅ dikhā de na ik din
ki yūṇ dekho marte haiṅ mar jāne vāle