Huzoorevaalaa, jo ho ijaazat, to ham ye saare, jahaan se kah den

हुज़ूरेवाला, जो हो इजाज़त, तो हम ये सारे, जहाँ से कह दें
Year
Language

हुज़ूरेवाला, जो हो इजाज़त,
तो हम ये सारे, जहाँ से कह दें
तुम्हारी अदाओं पे मरते हैं हम,
ये किसने कहा है कि डरते हैं हम
हुज़ूरेवाला …

क्‌यों न कह दें मोहब्बत खुदा है
ये हक़ीक़त नहीं है तो क्‌या है
ओ दिल वाले दांव लगा ले
कर दिया दिल को तेरे हवाले
बड़ा लुत्फ़ छुप छुप के जलने में है
मज़ा तीर खाके सम्भलने में है
हुज़ूरेवाला …

देखिये तो ज़रा मुस्कुरा के
कौन बैठा है पहलू में आके
ओ दिल वाले दांव लगा ले
कर दिया दिल को तेरे हवाले
ये नीची निगाहें गज़ब कर गईं
पता ना चला ज़ुल्म कब कर गईं
हुज़ूरेवाला …

huzūrevālā, jo ho ijāzat,
to ham ye sāre, jahāṇ se kah deṅ
tumhārī adāoṅ pe marte haiṅ ham,
ye kisne kahā hai ki ḍarte haiṅ ham
huzūrevālā …

k‌yoṅ na kah deṅ mohabbat khudā hai
ye haqīqat nahīṅ hai to k‌yā hai
o dil vāle dāṅv lagā le
kar diyā dil ko tere havāle
baṛā lutf chhup chhup ke jalne meṅ hai
mazā tīr khāke sambhalne meṅ hai
huzūrevālā …

dekhiye to zarā muskurā ke
kaun baiṭhā hai pahlū meṅ āke
o dil vāle dāṅv lagā le
kar diyā dil ko tere havāle
ye nīchī nigāheṅ gazab kar gaīṅ
patā nā chalā zulm kab kar gaīṅ
huzūrevālā …