हुज़ूर इतना अगर हम पर करम करते तो अच्छा था
हुज़ूर इतना अगर हम पर करम करते तो अच्छा था
तग़ाफ़ुल आप करते हैं सितम करते तो अच्छा था
कहा किसने के ये जोर-ओ-जफ़ा मत कीजियेए हम पर
बस इतनी-सी गुज़ारिश है के कम करते तो अच्छा था
ख़ुदा की महरबानी है के अच्छे हैं मगर ग़म है
ख़ुदा ने महरबानी की, सनम करते तो अच्छा था
ग़ज़ल में दर्द-ओ-ग़म अपने बयाँ करने से क्या होगा
ये बातें हम उन्हें ख़त में रक़म करते तो अच्छा था
huzūr itnā agar ham par karam karte to achchhā thā
taġhāful āp karte haiṅ sitam karte to achchhā thā
kahā kisne ke ye jor-o-jafā mat kījiyee ham par
bas itnī-sī guzāriśh hai ke kam karte to achchhā thā
khudā kī maharbānī hai ke achchhe haiṅ magar ġham hai
khudā ne maharbānī kī, sanam karte to achchhā thā
ġhazal meṅ dard-o-ġham apne bayāṇ karne se kyā hogā
ye bāteṅ ham unheṅ khat meṅ raqam karte to achchhā thā