हुस्न वाले तेरा जवाब नहीं कोइ तुझ-सा नहीं हज़ारों में
हुस्न वाले तेरा जवाब नहीं
कोई तुझ-सा नहीं हज़ारों में
तू है ऐसी कली जो गुलशन में
साथ अपने बहार लायी हो
तू है ऐसी किरण जो रात ढले
चाँदनी में नहा के आयी हो
ये तेरा नूर ये तेरे जलवे
जिस तरह चाँद हो सितारों में
हुस्न वाले …
तेरी आँखों में ऐसी मस्ती है
जैसे छलके हुए हों पैमाने
तेरे होंठों पे वो खामोशी है
जैसे बिखरे हुए हों अफ़साने
तेरी ज़ुल्फ़ों की ऐसी रंगत है
जैसे काली घटा बहारों में
हुस्न वाले …
तेरी सूरत जो देख ले शायर
अपने शेरों में ताज़गी भर ले
एक मुसव्विर जो तुझ को पा जाए
अपने ख़्वाबों में ज़िंदगी भर ले
नग़मागर ढूँढ ले अगर तुझ को
दर्द भर ले वो दिल के तारों में
हुस्न वाले तेरा जवाब नहीं …
husn vāle terā javāb nahīṅ
koī tujh-sā nahīṅ hazāroṅ meṅ
tū hai aisī kalī jo gulaśhan meṅ
sāth apne bahār lāyī ho
tū hai aisī kiraṇ jo rāt ḍhale
chāṇdnī meṅ nahā ke āyī ho
ye terā nūr ye tere jalve
jis tarah chāṇd ho sitāroṅ meṅ
husn vāle …
terī āṇkhoṅ meṅ aisī mastī hai
jaise chhalke hue hoṅ paimāne
tere hoṅṭhoṅ pe vo khāmośhī hai
jaise bikhre hue hoṅ afsāne
terī zulfoṅ kī aisī raṅgat hai
jaise kālī ghaṭā bahāroṅ meṅ
husn vāle …
terī sūrat jo dekh le śhāyar
apne śheroṅ meṅ tāzgī bhar le
ek musavvir jo tujh ko pā jāe
apne khvāboṅ meṅ ziṅdgī bhar le
naġhmāgar ḍhūṇḍh le agar tujh ko
dard bhar le vo dil ke tāroṅ meṅ
husn vāle terā javāb nahīṅ …