हुस्न चला कुछ ऐसी चाल ... प्यार की क़सम कमाल हो गया
र: हुस्न चला कुछ ऐसी चाल
दीवाने का पूछ ना हाल
प्यार की क़सम कमाल हो गया -2
ल: दिल को अब तक है इंकार
आँखें कर बैठीं इकरार
प्यार की क़सम कमाल हो गया -2
र: हो ओ कभी पास आएँ कभी दूर जाएँ
के हैं दिल चुराने की लाखों अदाएँ
ल: नहीं तीर निकला अभी तक कमाँ से
कोई उनसे कह दे कि दिल को बचाएँ -2
कि दिल को बचाएँ
र: हुस्न चला कुछ …
ल: कहाँ तक रहोगे ये दामन बचा के
के मुश्किल है बचना निशाने पे आ के
र: हमारा है क्या हम तो मिट के रहेंगे
जहाँ तुमने देखा ज़रा मुस्करा के -2
ज़रा मुस्करा के
ल: दिल को अब तक है …
र: हो ओ दिन हैं तुम्हारे ज़माना तुम्हारा
निगाहें इधर हैं इधर है इशारा
ल: ये पैग़ाम देते हैं ज़ुल्फ़ों के साए
चला आए जो है मोहब्बत का मारा -2
मोहब्बत का मारा
र: हुस्न चला कुछ …
ra: husn chalā kuchh aisī chāl
dīvāne kā pūchh nā hāl
pyār kī qasam kamāl ho gayā -2
la: dil ko ab tak hai iṅkār
āṇkheṅ kar baiṭhīṅ ikrār
pyār kī qasam kamāl ho gayā -2
ra: ho o kabhī pās āeṇ kabhī dūr jāeṇ
ke haiṅ dil churāne kī lākhoṅ adāeṇ
la: nahīṅ tīr niklā abhī tak kamāṇ se
koī unse kah de ki dil ko bachāeṇ -2
ki dil ko bachāeṇ
ra: husn chalā kuchh …
la: kahāṇ tak rahoge ye dāman bachā ke
ke muśhkil hai bachnā niśhāne pe ā ke
ra: hamārā hai kyā ham to miṭ ke raheṅge
jahāṇ tumne dekhā zarā muskrā ke -2
zarā muskrā ke
la: dil ko ab tak hai …
ra: ho o din haiṅ tumhāre zamānā tumhārā
nigāheṅ idhar haiṅ idhar hai iśhārā
la: ye paiġhām dete haiṅ zulfoṅ ke sāe
chalā āe jo hai mohabbat kā mārā -2
mohabbat kā mārā
ra: husn chalā kuchh …