Title (Indic)छोड़ो कल की बातें, कल की बात पुरानी WorkHum Hindustani Year1960 LanguageHindi Credits Role Artist Music Usha Khanna Performer Mukesh LyricsHindiछोड़ो कल की बातें, कल की बात पुरानी नए दौर में लिखेंगे, मिल कर नई कहानी हम हिन्दुस्तानी, हम हिन्दुस्तानी आज पुरानी ज़ंजीरों को तोड़ चुके हैं क्या देखें उस मंज़िल को जो छोड़ चुके हैं चाँद के दर पर जा पहुंचा है आज ज़माना नए जगत से हम भी नाता जोड़ चुके हैं नया खून है नई उमंगें, अब है नई जवानी हम हिन्दुस्तानी ... हमको कितने ताजमहल हैं और बनाने कितने हैं अजंता हम को और सजाने अभी पलटना है रुख कितने दरियाओं का कितने पवर्त राहों से हैं आज हटाने नया खून है नई उमंगें, अब है नई जवानी हम हिन्दुस्तानी ... आओ मेहनत को अपना ईमान बनायें अपने हाथों को अपना भगवान बनायें राम की इस धरती को गौतम की भूमी को सपनों से भी प्यारा हिंदुस्तान बनायें नया खून है नई उमंगें, अब है नई जवानी हम हिन्दुस्तानी ... हर ज़र्रा है मोती आँख उठाकर देखो माटी में सोना है हाथ बढ़ाकर देखो सोने की ये गंगा है चांदी की यमुना चाहो तो पत्थर से धान उगाकर देखो नया खून है नई उमंगें, अब है नई जवानी हम हिन्दुस्तानी ... Englishchhoṛo kal kī bāteṅ, kal kī bāt purānī nae daur meṅ likheṅge, mil kar naī kahānī ham hindustānī, ham hindustānī āj purānī zaṅjīroṅ ko toṛ chuke haiṅ kyā dekheṅ us maṅzil ko jo chhoṛ chuke haiṅ chāṇd ke dar par jā pahuṅchā hai āj zamānā nae jagat se ham bhī nātā joṛ chuke haiṅ nayā khūn hai naī umaṅgeṅ, ab hai naī javānī ham hindustānī ... hamko kitne tājamahal haiṅ aur banāne kitne haiṅ ajaṅtā ham ko aur sajāne abhī palaṭnā hai rukh kitne dariyāoṅ kā kitne pavart rāhoṅ se haiṅ āj haṭāne nayā khūn hai naī umaṅgeṅ, ab hai naī javānī ham hindustānī ... āo mehnat ko apnā īmān banāyeṅ apne hāthoṅ ko apnā bhagvān banāyeṅ rām kī is dhartī ko gautam kī bhūmī ko sapnoṅ se bhī pyārā hiṅdustān banāyeṅ nayā khūn hai naī umaṅgeṅ, ab hai naī javānī ham hindustānī ... har zarrā hai motī āṇkh uṭhākar dekho māṭī meṅ sonā hai hāth baṛhākar dekho sone kī ye gaṅgā hai chāṅdī kī yamunā chāho to patthar se dhān ugākar dekho nayā khūn hai naī umaṅgeṅ, ab hai naī javānī ham hindustānī ...