chāṇd chhupā bādal meṅ śharmāke merī jānā
sīne se lag jā tū, balkhāke merī jānā
gumsum sā hai, gupchup sā hai
madhośh hai, khāmośh hai
ye samā hāṇ ye samā, kuchh aur hai
chāṇd chhupā …
nazdīkiyāṇ baṛh jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
ye dūriyāṇ miṭ jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
dūr se hī tum, jī bhar ke dekho
tum hī kaho kaise dūr se dekhūṇ
chṇd ko jaise dekhtā chakor hai
gumsum sā hai …
chāṇd chhupā …
ājā re ājā chandā ki jab tak tū na āyegā
sajnā ke chehre ko dekhne, ye man taras jāyegā
na na chandā tū nahī ānā, tū jo āyā to
sanam śharmā ke kahīṅ chalā jāye na
ājā re ājā chandā, tū lākh duāeṅ pāyegā
na na chandā tū nahīṅ ānā, varnā sanam chalā jāyegā
āṇchal meṅ tū chhup jāne de
are nahīṅ bābām nahīṅ abhī nahīṅ, nahīṅ
zulfoṅ meṅ tū kho jāne de
are nahīṅ bābā, nahīṅ abhī nahīṅ nahīṅ
pyār to nām hai sabar kā hamdam
vo hī bhalā bolo kaise kareṅ ham
sāvan kī rāh jaise dekhe mor hai
rahne bhī do jāne bhī do, ab chhoṛo na
yūṇ moṛo na
ye samā, hāṇ ye samā, kuchh ayr hai
āyā re āyā chandā, ab har khvāhiśh pūrī hogī
chāndnī rāt meṅ har sajnī apne, sajnā ko dekhegī
chāṇd chhupā …